Kabhi jo mujh ko talash karna
To chandani raaton ki chandani me,
Gul e chaman se sawal karna..
Udaas kyun ho...?
Kyun aus qatron mein apne aansu chhupa rahe ho?
Haseen mausam mein kis ki yaadon mein...
Apne dil ko jala rahe ho?.
Gul e chaman me ye sawal sun kar
Tumhari aamad ka haal sun kar
Kahe ga tum jis ko khojte ho
Wo in baharon ki saari khushbo
Chura keab ik naye chaman mein
Mahek raha hai,...
Udaas kar ke yahan pe ham ko
Kisi aur chaman me mahek raha hai.
Gul e chaman ki ye baat sun kar
Tumhein lagega ke main bewafa hun
Udaas kaliyun ko chhord kar main..
Nayi baharein dhundta hun
Magar haqeeqat mein iss chaman ka
Tamam phoolon ki khuwahishon ka
Aur inn ki naa kaam kawishon ka
Haseen mousam ki barishon ka
Na mere dil par asar hua tha
Na mere dil par asar hua hai
Main aaj bhi ek naye chaman mein
Purane qisse suna raha hun
Jo meri chahat ka devata tha
Main aaj bhi uss ko poojta hun
Yaqeen nahi to palat ke dekho
Wahin khada tha, Wahin khada hun.