
December ka aakhri din hai
Abhi chand ghadiyan baqi hain
Calendar par tareekh tabdeel hone me,
Chalo mudd ke dekhein ham
Kahin kuch kho diya ham ne
Kahin kuch paa liya ham ne
Khahen dil ne baghawat ki
Kahen ham ne wazahat di
Ye sara khel hai waqt ka
Ye jo paana aur khona hai
Ye sab barabar hai
Hissab e Zindagi Dekhein to akhir me
Khasara hi khasara hai
Ke Waqt ke hathon me hi sab lagamein hain
Ham faqat dekhte aur sunte tou hain
Lekin,
Hamare ikhtiyar mein koi faisla nahi hota
Magar ek umeed par ham koshish ka daaman thaam lete hain
Ke...
Rabb e Kayinaat ham gairtoun ko yun girne nahi deta
Saal e Nau ko naveed do ke abhi ham hain
Umeedon ke chiraag jalte hain
Abhi ham zinda hain
aur....
Zindagi ke sath chalte hain...!
*** HAPPY NEW YEAR 2023 ***