![]() |
Image : For presentation purpose only |
Baandh lein haath pe seene pe sajaa lein tum ko,
Jee me aata hai ke taweez bana lein tum ko.
Phir tumhein roz sanwarein tumhein badhta hua dekhein,
Kyun na aangan mein chanbeli sa laga lein tum ko.
Jaise baalon mein koyi phool chuna karta hai,
Ghar ke gulldaan mein phoolon sa sajaa lein tum ko.
Kiya ajab khuwahishein uthti hain hamare dil mein,
Kar ke munna sa hawao'n mein uchhalein tum ko.
Iss qadar toot ke tum pe hame pyaar aata hai,
Apni baahon me bharen, maar hi daalein tum ko 😉😜
Kabhi khuwabon ki tarah aankh ke parde mein raho,
Kabhi khuwahish ki tarah dil mein bula lein tum ko.
Hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil mein,
Apne haathon mein duwa'on sa utha lein tum ko.
Jaan dene ki ijazat bhi nahi dete ho,
Warna marjayein abhi mar ke manayein tum ko.
Jis tarha raat ke seene me hai mehtaab ka noor,
Apne tareek makaano mein sajaa lein tum ko.
Ab to bas ek hi khuwahish hai kisi mood par tum
Ham ko bikhre huwe mil jao sambhalein tum ko.🥀🌺