365 DAYS OF LOVE

 



Yun to muhabbat ke

liye koi khas din muqarrar nahi.

Saal me 365 dinn hi pyaar aur

muhabbat ke izhaar ke liye hote hain.

Bas aaj kuch likhna chah raha tha,

Apni muhabbat mein,....

Apni Muhabbat ke liye..!!


Mujhe aisa mehsoos hota hai ke ek kamre me,

Main Blue jeans aur safeed shirt pehene kursi

pe baitha hamesha ki tarha ek naya article likh

raha hun ke utne hi lamhon me… Haseen muhtrama

hathon me chaaye ka cup uthaye meri taraf aa rahi

hain. Muhtrama ne safeed rang ki kurti aur neele

lambe rangg ki patiyala shalwar pehan rakhi hai…..

Jo apne aap me ek qayamat ka manzar hai. Hathon ki

lakeeron mein sajji mehndi aur ungli mein anghoti

aur nazuk si kaliyun me khanakti chudiyaan,,,,

Jo ke meri kul kayanat hain..Aur muhtrama ki laal

surkhi lab aur khule baalo’n ne muhtrama ki

khubsurati mein chaar chand laga rakhe hain.


Mujhe aise mehsoos hota hai ke muhtrama mere

samne khadi hain aur mere hath me muhtrama ke

hath ki bani hui kaddak chaaye ka cup!!! 

Mujhe aise mehsoos hota hai ke muhtrama hamesha

ki tarah mujh pe gussa kar rahi hain, Dant rahi hain,

Bura bhala keh rahi hain, Bhaut talkh alfaz ka chunao

kar rahi hai,

Aur najane kya kya aur main muhtrama ki banayi hui

kaddak chaye ke ek ek ghont ko apne andar utaar

raha hun aur muhtrama ko muskura ke jawab me bas

itna keh raha hun

“ JI THEEK HAI, JII BILKUL, JII AAP SAHI KEH

RAHI HAIN”!


Ab mujhe mehsoos ho raha hai ke muhtrama ka gussa

meri chaaye ki tarah khatam ho raha hai.

Jab muhtrama bol chukein to maine chaaye ka aakhri

ghont liya aur apni kursi se uth khada hua.

Ab mujhe mehsoos hota hai ke

maine muhtrama ka chehra apne hathon me samoo

rakha hai aur muhtrama ki nafrat angeez aankhon

mein dekha jinn se kuch lamhe pehle mere liye aag

baras rahi thi ab main unhi

aankhon me bahut pyaar se dekh raha hun,

Theek ussi lamhe maine muhtrama ke mathe se baal

hataye aur muhtrama

ke mathe pe ek pyaar bhara boosa liya aur

sath hi muhtrama ke kaan me sargoshi ki..

“ CHAYE BAHUT MAZEY KI THI ’’.

Main pichhe hathne hi wala tha ke

muhtrama ne mujhe apne seene se iss qadar zorr se

laga liya ke mujhe aise mehsoos hua ke

muhtrama jaise mere wajood me samoo jana chahti

hain!.


2 minute khamushi se lagaye rehne ke baad

muhtrama bolein “ Sunien”  Mai aapko itna kuch keh

jaati hun,

Itna bura bhala kehti hun, Itni talkhi se bolti hun aur

najane kya kya. Aap phir bhi mujhe kuch nahi kehte,

Aur aap ke labb se shikayat ka ek lafz bhi nahi nikalta.

“Kyun??’’ Aakhir aisa kya hai mujh mein?


Mujhe aise mehsoos hota hai ke mera kandha Aanso’n se bheeg raha hai aur muhtrama ke

baazo’on ki giraft ab kamzoor padh gai hain. Ab mai muhtrama ke baalo’n me hath pherte

hue keh raha hun

“ YEH MERI MUHABBAT HAI AUR AAP KO

MERI MUHABBAT ME YEH SAB HAQQ HASSIL HAIN ’’.