Non Serious Loag

Non-Serious Loag



Yeh jo "Non serious" qisam ke loag hote hain..
Yeh ajeeb hote hain..
Yeh aksar hanst or hansate nazar ate hain..
Bahut martaba unn ki zindagi par rashk ane lagta hai..
Yun lagta hai, unhon'ne dukh gham qisam ki cheez kabhi dekhi hi nahi..
Lekin aisa nahi... Yeh sathii dikhayi dene wale loag hote badey gehre hain..
Aap kabhi kisi "Nin Serious" shakhs ko aitemad me lijiye., Usse kissi pur sukoon jagah bitha kar kareediye..
Awal to wo aap ke sawalon aur uss ki zaat me aap ki dilchaspi ko apni muskurahat'on me udayega..
Woh apni aadat ke mutabiq aap ko lattefon, qisson mein uljha kar daman chhudane aur rassi tudane ki koshish karega..
Woh ye bawar karane par israr karega ke uss ne aap ki baat ka notice hi nahi liya. tajahil.. aarifana ka sahara lega.. Aap datte rahiye. Kuch der bad woh aap ke samne hathiyar daal dega,
Woh aap ko ann ginnat qehqahu'on aur beshumar muskurahato'n ke neeche dabbe wo dukh nikaal kar dikhayega..
Woh har zakham ki alag dastan sunayega.
Woh aap ko zindagi ke be-shumar sabaq samjhayega. Thodi der ke liye aap hairan zaroor honge.
Magar jaan jayeinge ke zindagi kissi sadmme, kisi ek dukh, kissi ek mehroomi ke bojh talle umar guzar dene ka naam nahi.
Takleef dha waqiyat ka samna koun nahi karta?!..
Insan ko andar se tod kar rakh dene wale sanhaat kis ke sath pesh nahi ate?!..
Lekin zindagi apne chehre ko har waqt dukh'on, mehroomiy'on, Gham'on ki art gallery banaye rakhne ka naam nahi.
Zindagi apne kisi ek sadme ki bhatti mein jhonk dene ka naam nahi, Zindagi roney ka naam nahi.
Yeh "Non Serious" Kehlaye jane waley loag zindagi ke sab se badey ustaad hain.
Yeh girr kar dubara ek naye walwaley se uthna sikhate hain. Yeh toot kar bikhar jane wale dil ki karchiyan ikhatti kar phir se jodna sikhate hain.
Yeh sikhate hain ke gham se mar jane wala dil dubara kyun kar jalaya ja sakta hai. Yeh bala ke khud-daar hitey hain. Apne gham'on ko kisi ke harf-e-tassali ke iwaz har gizz nahi bechte.
Yeh hanste hain aur toot kar hanste hain.
Be-panah hanste hain..
Unn ke qehqahe unn ke natawan hojaney waley jazb'on ko ek nayi tawanai bakhashte hain.
Yahi wajah hai yeh " Non Serious" loag zindagi ghaseet'te nahi guzarte nahi.
...... Han yeh zindage jeete hain.
Yeh kissi ek hadsse ko kabhi itna sarkash nahi honey dete ke wo in'he guzaar de.







Khush Rehena Seekhiye..



Fake Smile


Zindagi ko pursukoon aur khubsoorat banane ke liye ardgird se khushiyan chuniye..

Chhoti chhoti baaton par dil khol kar hansiye..

Ke bhool jayen., ke aap pareshan hain.

Ya kisi massle se douchaar hain.

Zindagi ki masroofiyaat se kuch waqt apne liye nikalein.

Aur iss waqt mein apne pasandeeda kaam ki jiye..

Jaise.. Movie dekhna pasand ho to movie dekhien..

Ghumna hai to ghumiye..

Kissi aise se milna ho jisse apne aap ko sukoon mile to milne chale jaiye..

Bahere haal aap ka jo dil chahe wo karein.

Bas apna maqsad samne rakh kar.,

Khud par yaqeen ke sath apni manzil ko paane ki justjoo karein.

Aap dekheinge ke jiss kaam ko bahut mushkil or na-mumkin samjh rahe the..

Wo kitni aasani se ho gaya..

Jinn cheezon se aap nafrat karte hain..

Unhein apni zindagi se nikal pheinken.

Khud ko khush rakhne ka aur zindagi enjoy karne ka haq aap ko bhi hai.

Iss liye kisi ki parwah mat ki jiye..

Agar loag aap ko khush dekh kar jalte hain to unki kissi baat ki parwah mat kijiye..

Balke muskura kar unki taraf dekhiye...

Aur kahiye... Haan Ham Aise hi hai..




Khwaab Hamaray. . .



Dreams


Ham rozz koyi na koyi khuwab dekhte hain,

Kabhi jagti aankhon se to,

To kabhi sote huwe.

Kabhi bahut hi haseen khuwab to..,

To kabhi dara dene wale khuwab.

Kabhi mustaqbil ke khuwab,,.

To kabhi kisi ko paane ke khuwab.

Khuwab dekhna bahut zaruri hota hai.

Kyun ke..,

Khuwab hamare kisi bhi hasool ki pehli seerdhi hote hain.

Khuwab aap chahe sote mein dekhein ya phir jaagti aankhon se.

Apne khuwabon ko hamesha buland rakhiye.

Aur apne inn khuwabon ko pora karne ke liye koshish karte rahiye.

Aur jab tak aap ko apne khuwabon ki takmeel na mil jaye...

Yaad rahe...,

Koyi bhi khuwab aisa nahi hota, jo aapki dastras mein na ho.

Bass khuwab dekhna kabhi mat chhordiye.

Jiss din aap ne khuwab dekhna chhord diya.

Samjh li jiye....

Ke aap..

Haar gaye...