Ham nazuk nazuk dil wale..
Bas aise hi to hote hain.
Kabhi hanste hain, Kabhi rotey hain..
Kabhi dil me khuwab pirrotey hain.
Kabhi mehfil mehfil phirtey hain..
Kabhi zaat me tanha rehte hain.
Kabhi chup ki mehar sajate hain..
Kabhi geet labbon pe late hain.
Kabhi sab ka dil behlate hain..
Kabhi khud me tanaha rehte hain.
Kabhi shabb bhar jagte rehte hain..
Kabhi lambi taan ke sote hain.
Ham nazuk nazk dil wale..
Bas aise hi to hote hain.
Non Serious Loag
Yeh jo "Non serious" qisam ke loag hote hain..
Yeh ajeeb hote hain..
Yeh aksar hanst or hansate nazar ate hain..
Bahut martaba unn ki zindagi par rashk ane lagta hai..
Yun lagta hai, unhon'ne dukh gham qisam ki cheez kabhi dekhi hi nahi..
Lekin aisa nahi... Yeh sathii dikhayi dene wale loag hote badey gehre hain..
Aap kabhi kisi "Nin Serious" shakhs ko aitemad me lijiye., Usse kissi pur sukoon jagah bitha kar kareediye..
Awal to wo aap ke sawalon aur uss ki zaat me aap ki dilchaspi ko apni muskurahat'on me udayega..
Woh apni aadat ke mutabiq aap ko lattefon, qisson mein uljha kar daman chhudane aur rassi tudane ki koshish karega..
Woh ye bawar karane par israr karega ke uss ne aap ki baat ka notice hi nahi liya. tajahil.. aarifana ka sahara lega.. Aap datte rahiye. Kuch der bad woh aap ke samne hathiyar daal dega,
Woh aap ko ann ginnat qehqahu'on aur beshumar muskurahato'n ke neeche dabbe wo dukh nikaal kar dikhayega..
Woh har zakham ki alag dastan sunayega.
Woh aap ko zindagi ke be-shumar sabaq samjhayega. Thodi der ke liye aap hairan zaroor honge.
Magar jaan jayeinge ke zindagi kissi sadmme, kisi ek dukh, kissi ek mehroomi ke bojh talle umar guzar dene ka naam nahi.
Takleef dha waqiyat ka samna koun nahi karta?!..
Insan ko andar se tod kar rakh dene wale sanhaat kis ke sath pesh nahi ate?!..
Lekin zindagi apne chehre ko har waqt dukh'on, mehroomiy'on, Gham'on ki art gallery banaye rakhne ka naam nahi.
Zindagi apne kisi ek sadme ki bhatti mein jhonk dene ka naam nahi, Zindagi roney ka naam nahi.
Yeh "Non Serious" Kehlaye jane waley loag zindagi ke sab se badey ustaad hain.
Yeh girr kar dubara ek naye walwaley se uthna sikhate hain. Yeh toot kar bikhar jane wale dil ki karchiyan ikhatti kar phir se jodna sikhate hain.
Yeh sikhate hain ke gham se mar jane wala dil dubara kyun kar jalaya ja sakta hai. Yeh bala ke khud-daar hitey hain. Apne gham'on ko kisi ke harf-e-tassali ke iwaz har gizz nahi bechte.
Yeh hanste hain aur toot kar hanste hain.
Be-panah hanste hain..
Unn ke qehqahe unn ke natawan hojaney waley jazb'on ko ek nayi tawanai bakhashte hain.
Yahi wajah hai yeh " Non Serious" loag zindagi ghaseet'te nahi guzarte nahi.
...... Han yeh zindage jeete hain.
Yeh kissi ek hadsse ko kabhi itna sarkash nahi honey dete ke wo in'he guzaar de.
Main Ek Aam Sa Ladka ☺
Main ek aam sa ladka☺..
Lehja munfarid mera,
Banawat hai na baato'n me,
Jo dil me hai,
Zuban par bhi wahi baat hoti hai.
Mai sab ka maan to rakhta hun,
Magar...........
Kisi ka dil nahi rakhta.
Han, aisa hai magar,
Jo mukhlis hain chand ek loag,
Mai un'nko khaas rakhta hun.
Aur phir jo khaas hotey hain,
Un'nhein khoney se darta hun.
Hansta hun bahut lekin,
Phir jee bhar kar roota hun.
Han main ek aam sa ladka hun☺..