Sard mousam mein haath malte hue..
Yunhi sar ko jo uthaya maine..
Saamne husn ko paya maine..!
Husn aisa ke saans ruk jaye
Husn aisa ke chaand jhuk jaye...
Husn aisa ke churiyon ki chanak
Husn aisa ke aaine ki chamak..
Husn aisa ke rashk gulaab kare..
Husn aisa ke khud khitaab kare..!
Mujh ko chalte hue thokkar jo lagi..
Dil k darwaze pe dastak si hui..
Ek anjaan musafir mera mehmaan hua!
Dil se mehmaan nikala na gaya..
Aur phir dil ko sambhala na gaya ...