Din ka dhalte huwe saaye se pata chalta hai
Zindagi zehar hai, peene se pata chalta hai.
Dekh missmaar hain gurbat ke kayi khuwab yahan
Mujh ko iss shehar ke malbbe se pata chalta hai.
Aisa zindda ke jahan saans bhi kamm kamm aaye
Darr ka zanjeer ke hillne se pata chalta hai.
Pyaar muthhi me pada reyt ka aisa rishta
Jo shabb o rozz bikharne se pata chalta hai.
Tere aankhon ke uqabb mein ye nammi si kya hai
Gham ki gehrai ka hassne se pata chalta hai.
Ekk chehre pe kayi khool chadhe hote hain
Waqt ki gird utarne se pata chalta hai.
Ye shabb e hijarr bhi shaiyron mein kahin dhalti hai
Ye azeeyat to guzarne se pata chalta hai.