Kashish Aur Muhabbat.....




Ustaad muhtaram ne ek lamba saans liya, aur kehne lage.

Dekho beta jii..... Dil mein agar, muhabbat ho, to phir dil mein khud garzi nahi aa sakti.

Issi liye, Muhabbat kabhi marti nahi.

Yeh jo ladke aur ladki ka jawan honey par, aapas mein ek taa'luq ban jaata hai. Isse muhabbat ke

bajaaye, Kashish kehna, ziyaada munassib hai.

Dono issi kashish ki wajah se, ek dusre ko pyaare lagte hain. Aur hamesha ke liye ek dusre ke paas aana chahte hain.

Muhabbat to koyi aur cheez hai.

Muhabbat mein hum mehboob ka bhalla sochte hain. 

Uss ki kamiyabi chahate hain.

Uss ke kissi nuqsaan ka tassawur bhi nahi kar sakte.

Aisi kissi harkat ka soch bhi nahi sakte, Jis se mehboob ki zindagi, izzat, maal o daulat, ya uss ke maa baap ki izzat ko thhees pahunchne ka khatra ho.

Yahi wajah hai ke ladka aur ladki, iss kashish ke paida honey ke baad qareeb to aatey hain,

Shaadi bhi kar letey hain.

Magar,...

Dilo'n mein muhabbat na hiney ke baayis, thode hi arsey ke baad, Ladna marna shuru kardete hain.

Aur baat talaaq, Qula ya muqadae baazi tak jaa pahunchti hai.


Hamara almiya ye hai ke,

Ham ne,.... Kashish aur muhabbat ko, aapas me gudmud kar diya hai...ے