Yeh dil o dimag bhi pata nahi kya hai....??
Kabhi sikandar ki tarah saari duniya fatah karna chahata hai,
Aur kabhi joggi ban kar saari duniya tiyaag dena chahata hai.
Kabhi kissi walli ki tarah allah ki yaad mein khoo kar bass usse panna chahata hai,
Aur kabhi sab kuch bhula kar dil me kayi butt saja kar unhein poojna chahta hai.!!
Kabhi mehfilon mein shoor sharbey se behalta hai,
Aur kabhi khamooshi tanhai ke liye machalta hai.
Kabhi khuwahish hoti hai duniya hume janey,
Aur kabhi jee chahata hai ke kaash hame koyi na janta ho.!!
Kabhi zara zara si baat pe aansu bahane lagta hai,
Aur kabhi badi se badi baat pe bhi patthar hojata hai..!!
Kabhi hazaar baras jeene ki khuwahish hoti hai,
Kabhi pall bhar ki zindagi bhi azzab lagti hai..!!
Kabhi hazaar khuwahishein palti hain,
Kabhi har aarzoo marr jati hai..!!
Yeh dil o dimag bhi pata nahi kya.......!!?
Kabhi sikanddar hai.,,
Kabhi qalanddar hai.,,
Kabhi walli...,,,
Kabhi butt parast....,,,
Kabhi chaand hai,... Sitara hai.,,.
Kabhi khaak ka istaara hai..,,,.