Ehsaas..!



 Loag kehtey hain ke..

" Kissi apney ki judai ke baad ahista ahista sab normal ho jata hai."

Mai itefaq nahi karta, kuch normal nahi hota.

Sabar lafz suna hai?.

Bass wahi aa jata hai.

Iss ke siwa koyi hall bhi to nahi hota hai na.

Zahen to unhi yaadon me uljha reheta hai.

Unhi baaton ko yaad karta hai.

Waqt guzarne ke sath sath... Zakham mandmal ho jata hai.

Lekin.. Bharta nahi hai...

Aur na kuch normal hota hai..

Jism par lage ghaw ahista ahista bhar jate hain.

Lekin rouh par lagey ghaw kabhi nahi bharte.

Aur jab rouh hi zakhmi ho to...

Sab kuch kahan normal hota hai.?